ye meri ghazal ka mizaj hai kabhi aag hai kabhi phul hai
ye mirī ġhazal kā mizāj hai kabhī aag hai kabhī phuul hai
kabhī qahqahoñ kā hai qāfila kabhī āñsuoñ se malūl hai
jo de pyaar tū use pyaar de jo de dard us ko mu'āf kar
yahī zindagī kā hai qā.eda yahī dostī kā usuul hai
yahāñ sab hai terā diyā huā mirā jaam bhī mirī pyaas bhī
tire haath se jo mile agar mujhe tishnagī bhī qubūl hai
tū chalā gayā mujhe chhoḌ kar mujhe bhūlne kī umiid meñ
mujhe bhuul pā.egā tū kabhī tirā sochnā tirī bhuul hai
ye tamaddunoñ ke charāġh sā ye vatan mirā kisī baaġh sā
jise chhū ke ruuh mahak uThī mire hind vo tirī dhuul hai
ye meri ghazal ka mizaj hai kabhi aag hai kabhi phul hai
kabhi qahqahon ka hai qafila kabhi aansuon se malul hai
jo de pyar tu use pyar de jo de dard us ko mu'af kar
yahi zindagi ka hai qaeda yahi dosti ka usul hai
yahan sab hai tera diya hua mera jam bhi meri pyas bhi
tere hath se jo mile agar mujhe tishnagi bhi qubul hai
tu chala gaya mujhe chhoD kar mujhe bhulne ki umid mein
mujhe bhul paega tu kabhi tera sochna teri bhul hai
ye tamaddunon ke charagh sa ye watan mera kisi bagh sa
jise chhu ke ruh mahak uThi mere hind wo teri dhul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.