ye meri ijad-e-izhaar-e-tamanna dekhiye
ye mirī ījād-e-iz.hār-e-tamanna dekhiye
shabnamī āñkhoñ kā dar-parda taqāzā dekhiye
sirf do āñkheñ milī haiñ in se kyā kyā dekhiye
har nafas har gaam par nairang-e-duniyā dekhiye
be-ḳhudī-e-shauq kā taaza karishma dekhiye
dekhiye mujh ko bharī mahfil meñ tanhā dekhiye
mehvar-e-husn-e-zamīñ kal tak mirā har sher thā
ab mire afkār ko aflāk-paimā dekhiye
nukta-chīnī ‘aib-jūī kā gila bekār hai
aap se kis ne kahā thā zehn-e-duniyā dekhiye
un laboñ par sirf tahrīk-e-tabassum ke liye
tāb-e-nazzāra ko rusvā aur rusvā dekhiye
jumbish-e-parda se haiñ ausān gum idrāk gum
aur is aalam meñ ye tākīd jalva dekhiye
aap kā naqd-e-tamāshā mo'tabar ho jā.egā
apnā chehra dekh kar auroñ kā chehra dekhiye
imtiyāz-e-ḳhās-o-ām is kī shu’ā’oñ par harām
ġhair-jānib-dār sūraj kā ujālā dekhiye
merā saaya bhī añdhere meñ nahīñ hai ham-qadam
sochnā paḌtā hai ab kis kā sahārā dekhiye
fitrat-e-tasvīr bhī un kī tarah mohtāt hai
aap is se ḳhvāh bāteñ kījiye yā dekhiye
tishnagī teġhoñ ke saa.e dhuup ġhurbat ai 'urūj'
aap ne sajda kahāñ dekhā hai sajda dekhiye
ye meri ijad-e-izhaar-e-tamanna dekhiye
shabnami aankhon ka dar-parda taqaza dekhiye
sirf do aankhen mili hain in se kya kya dekhiye
har nafas har gam par nairang-e-duniya dekhiye
be-KHudi-e-shauq ka taza karishma dekhiye
dekhiye mujh ko bhari mahfil mein tanha dekhiye
mehwar-e-husn-e-zamin kal tak mera har sher tha
ab mere afkar ko aflak-paima dekhiye
nukta-chini ‘aib-jui ka gila bekar hai
aap se kis ne kaha tha zehn-e-duniya dekhiye
un labon par sirf tahrik-e-tabassum ke liye
tab-e-nazzara ko ruswa aur ruswa dekhiye
jumbish-e-parda se hain ausan gum idrak gum
aur is aalam mein ye takid jalwa dekhiye
aap ka naqd-e-tamasha mo'tabar ho jaega
apna chehra dekh kar auron ka chehra dekhiye
imtiyaz-e-KHas-o-am is ki shu’a’on par haram
ghair-jaanib-dar suraj ka ujala dekhiye
mera saya bhi andhere mein nahin hai ham-qadam
sochna paDta hai ab kis ka sahaara dekhiye
fitrat-e-taswir bhi un ki tarah mohtat hai
aap is se KHwah baaten kijiye ya dekhiye
tishnagi teghon ke sae dhup ghurbat ai 'uruj'
aap ne sajda kahan dekha hai sajda dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.