ye meri sham-e-judai kis bala ki sham hai
ye mirī shām-e-judā.ī kis balā kī shaam hai
saikḌoñ lākhoñ balā.eñ ik dil-e-nākām hai
dast-e-sāqī meñ jhalaktā sāġhar-e-gulfām hai
jaane qismat kā sikandar kaun tishna-kām hai
iḳhtitām-e-roġhan-e-hastī kā ye anjām hai
lau charāġh-e-zindagī kī larza-bar-andām hai
mere lāshe par azīz-o-āshnā rote haiñ kyoñ
ab mujhe taklīf kyā ārām hī ārām hai
bekasī ne merī bālīñ par dam-e-āḳhir kahā
jitnī sub.heñ ho chukī haiñ hotī sab kī shaam hai
paañv thak jaa.eñ balā se shauq thakne kā nahīñ
manzil-e-maqsūd lākhoñ kos bhī do gaam hai
laḌkhaḌā kar gir paḌā huuñ aa ke manzil ke qarīb
tum kahāñ baiThe ho aao ab tumhārā kaam hai
achchhī sūrat ko na jaane kyoñ burā kahte haiñ log
husn-e-bechāra to 'nashtar' muft meñ badnām hai
ye meri sham-e-judai kis bala ki sham hai
saikDon lakhon balaen ek dil-e-nakaam hai
dast-e-saqi mein jhalakta saghar-e-gulfam hai
jaane qismat ka sikandar kaun tishna-kaam hai
iKHtitam-e-roghan-e-hasti ka ye anjam hai
lau charagh-e-zindagi ki larza-bar-andam hai
mere lashe par aziz-o-ashna rote hain kyon
ab mujhe taklif kya aaram hi aaram hai
bekasi ne meri baalin par dam-e-aKHir kaha
jitni subhen ho chuki hain hoti sab ki sham hai
panw thak jaen bala se shauq thakne ka nahin
manzil-e-maqsud lakhon kos bhi do gam hai
laDkhaDa kar gir paDa hun aa ke manzil ke qarib
tum kahan baiThe ho aao ab tumhaara kaam hai
achchhi surat ko na jaane kyon bura kahte hain log
husn-e-bechaara to 'nashtar' muft mein badnam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.