ye meri zid hai ki mujhko wo manane aae
ye mirī zid hai ki mujh ko vo manāne aa.e
saath mere bhī vo kuchh vaqt bitāne aa.e
kab talak āñkheñ khuleñgī mirī mobile se
bhīgī zulfoñ se vo mujh ko to jagāne aa.e
baat mahfil meñ jo aa.ī kabhī dildārī kī
dost saare vo mujhe yaad purāne aa.e
haa.e afsos ye bārish mirī sautan hai banī
dhuup nikle to vo kapḌoñ ko sukhāne aa.e
mai-kadoñ meñ to bahut pī hai magar ab 'āmir'
hai yahī chaah ki mujh ko vo pilāne aa.e
ye meri zid hai ki mujh ko wo manane aae
sath mere bhi wo kuchh waqt bitane aae
kab talak aankhen khulengi meri mobile se
bhigi zulfon se wo mujh ko to jagane aae
baat mahfil mein jo aai kabhi dildari ki
dost sare wo mujhe yaad purane aae
hae afsos ye barish meri sautan hai bani
dhup nikle to wo kapDon ko sukhane aae
mai-kadon mein to bahut pi hai magar ab 'amir'
hai yahi chah ki mujh ko wo pilane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.