ye meri zindagi kisi ki hai
ye mirī zindagī kisī kī hai
fikr mat kiije aap hī kī hai
jo ḳhafā hai use manānā hai
is liye ham ne shā'irī kī hai
jin ko maanā thā dil-'azīz kabhī
unhī apnoñ ne dushmanī kī hai
Thokareñ laakh khā.īñ ham ne magar
sirf ik rab kī bandagī kī hai
us hasīna ke bin jiyeñ kaise
TuuT kar jis se dil-lagī kī hai
'ishq kar ke pata chalā ham ko
ham ne jiite jī ḳhud-kushī kī hai
tum ko 'parvez' kyā huā hai aaj
ik hasīna se dostī kī hai
ye meri zindagi kisi ki hai
fikr mat kije aap hi ki hai
jo KHafa hai use manana hai
is liye hum ne sha'iri ki hai
jin ko mana tha dil-'aziz kabhi
unhi apnon ne dushmani ki hai
Thokaren lakh khain hum ne magar
sirf ek rab ki bandagi ki hai
us hasina ke bin jiyen kaise
TuT kar jis se dil-lagi ki hai
'ishq kar ke pata chala hum ko
hum ne jite ji KHud-kushi ki hai
tum ko 'parwez' kya hua hai aaj
ek hasina se dosti ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.