ye mohabbaton ka jo rishta hai ye bhi dekhne mein ajib hai
ye mohabbaton ka jo rishta hai ye bhi dekhne mein ajib hai
Nusrat Ateeq Gorakhpur
MORE BYNusrat Ateeq Gorakhpur
ye mohabbatoñ kā jo rishta hai ye bhī dekhne meñ ajiib hai
kahīñ merā dushman-e-jāñ hai vo to kahīñ vo merā habīb hai
vo jo jaan se bhī aziiz thā kahīñ rāste meñ bichhaḌ gayā
vo jo nafratoñ meñ shumār thā vahī aaj merā nasīb hai
tujhe kyā ḳhabar tirī yaad meñ maiñ taḌap ke rotī huuñ rāt-din
tujhe kyā pata ki tū kis qadar mire jān-o-dil ke qarīb hai
mirī saañs saañs tirī mahak mirī ḳhvāhishoñ meñ tirī kasak
maiñ tirī marīz huuñ mustaqil tū mirī davā hai tabīb hai
ye kasak bhī kaisī hai ham-nafas tujhe is kasak kī hai kuchh ḳhabar
tū qarīb ho ke bhī duur hai koī duur ho ke qarīb hai
maiñ samajh sakī na abhī talak tirā manshā tere mizāj ko
mirī zindagī mujhe kyā ḳhabar tirā falsafa bhī ajiib hai
jo uThā.e phirtī hai jā-ba-jā ye hai kaun 'nusrat'-e-be-navā
ye jo us ke shānoñ pe hai sajī ye to chāhatoñ kī salīb hai
ye mohabbaton ka jo rishta hai ye bhi dekhne mein ajib hai
kahin mera dushman-e-jaan hai wo to kahin wo mera habib hai
wo jo jaan se bhi aziz tha kahin raste mein bichhaD gaya
wo jo nafraton mein shumar tha wahi aaj mera nasib hai
tujhe kya KHabar teri yaad mein main taDap ke roti hun raat-din
tujhe kya pata ki tu kis qadar mere jaan-o-dil ke qarib hai
meri sans sans teri mahak meri KHwahishon mein teri kasak
main teri mariz hun mustaqil tu meri dawa hai tabib hai
ye kasak bhi kaisi hai ham-nafas tujhe is kasak ki hai kuchh KHabar
tu qarib ho ke bhi dur hai koi dur ho ke qarib hai
main samajh saki na abhi talak tera mansha tere mizaj ko
meri zindagi mujhe kya KHabar tera falsafa bhi ajib hai
jo uThae phirti hai ja-ba-ja ye hai kaun 'nusrat'-e-be-nawa
ye jo us ke shanon pe hai saji ye to chahaton ki salib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.