ye mujhse puchhte hain chaaragar kyun
ye mujh se pūchhte haiñ chāragar kyuuñ
ki tū zinda to hai ab tak magar kyuuñ
jo rasta chhoḌ ke maiñ jā rahā huuñ
usī raste pe jaatī hai nazar kyuuñ
thakan se chuur paas aayā thā us ke
girā sote meñ mujh par ye shajar kyuuñ
sunā.eñge kabhī fursat meñ tum ko
ki ham barsoñ rahe haiñ dar-ba-dar kyuuñ
yahāñ bhī sab haiñ begāna hī mujh se
kahūñ maiñ kyā ki yaad aayā hai ghar kyuuñ
maiñ ḳhush rahtā agar samjhā na hotā
ye duniyā hai to maiñ huuñ dīda-var kyuuñ
ye mujh se puchhte hain chaaragar kyun
ki tu zinda to hai ab tak magar kyun
jo rasta chhoD ke main ja raha hun
usi raste pe jati hai nazar kyun
thakan se chur pas aaya tha us ke
gira sote mein mujh par ye shajar kyun
sunaenge kabhi fursat mein tum ko
ki hum barson rahe hain dar-ba-dar kyun
yahan bhi sab hain begana hi mujh se
kahun main kya ki yaad aaya hai ghar kyun
main KHush rahta agar samjha na hota
ye duniya hai to main hun dida-war kyun
- Book : LAVA (Pg. 105)
- Author : JAVED AKHTAR
- Publication : RAJ KAMAL PARKASHAN (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.