Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mulaqat na Talunga chala aaunga

Neeraj Naveed

ye mulaqat na Talunga chala aaunga

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    ye mulāqāt na Tālūñgā chalā ā.ūñgā

    koī tarkīb nikālūñgā chalā ā.ūñgā

    dil abhī tum se mulāqāt ko tayyār nahīñ

    jaise dil ko manā lūñgā chalā ā.ūñgā

    ab nahīñ maiñ vo jise tum ne kabhī chāhā thā

    ḳhud ko us shakl meñ Dhālūñgā chalā ā.ūñgā

    sochtā huuñ maiñ ki aanā koī mushkil bhī nahīñ

    ik bahānā banā lūñgā chalā ā.ūñgā

    ab bhī lagtā hai ki tum mere nahīñ ho kāmil

    jab tumheñ apnā banā lūñgā chalā ā.ūñgā

    merī taqdīr abhī mujh se ḳhafā hai jānāñ

    rūThī taqdīr manā lūñgā chalā ā.ūñgā

    muntazir huuñ ye kaho tum ki abhī aa jaao

    vaqt se haath milā lūñgā chalā ā.ūñgā

    koī ummīd nahīñ koī tavaqqo' bhī nahīñ

    ab to bas nām-e-ḳhudā lūñgā chalā ā.ūñgā

    ye mulaqat na Talunga chala aaunga

    koi tarkib nikalunga chala aaunga

    dil abhi tum se mulaqat ko tayyar nahin

    jaise hi dil ko mana lunga chala aaunga

    ab nahin main wo jise tum ne kabhi chaha tha

    KHud ko us shakl mein Dhaalunga chala aaunga

    sochta hun main ki aana koi mushkil bhi nahin

    ek bahana hi bana lunga chala aaunga

    ab bhi lagta hai ki tum mere nahin ho kaamil

    jab tumhein apna bana lunga chala aaunga

    meri taqdir abhi mujh se KHafa hai jaanan

    ruThi taqdir mana lunga chala aaunga

    muntazir hun ye kaho tum ki abhi aa jao

    waqt se hath mila lunga chala aaunga

    koi ummid nahin koi tawaqqo' bhi nahin

    ab to bas nam-e-KHuda lunga chala aaunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now