ye mumkin hai ki yun humne tumhein aksar rulaya ho
ye mumkin hai ki yuuñ ham ne tumheñ aksar rulāyā ho
magar ye bhī to hai tum ne hameñ aksar satāyā ho
bigaḌtī baat hai jab jab mujhe yuuñ kostī ho tum
ki jaise zindagī kā har sitam mujh se hī paayā ho
har ik golī tamanche se nikal kar sochtī hogī
agar lenī hī haiñ jāneñ to kyoñ apnā parāyā ho
hamāre qabr par aksar sulagtī dhuup rahtī hai
jo zinda the to chāhā thā tirī zulfoñ kā saaya ho
tirī āñkhoñ kī vus.at meñ bharī ho kahkashāñ shāyad
tirī nāzuk sī palkoñ ne falak shāyad uThāyā ho
hamārī ḳhaak uḌ kar shāḳh se kartī hai sargoshī
uThā lo phuul ye shāyad havā ne hī girāyā ho
mulāqāteñ to hotī haiñ magar puurī nahīñ hotī
ki jaise niiñd meñ gahrī adhūrā ḳhvāb aayā ho
huī hai aaj be-parda tirī ye be-ruḳhī kuchh yuuñ
mire hālāt ne ruḳh se tire parda haTāyā ho
lipaT kar aag se dekho 'alaḳh' kī laash jaltī hai
kisī hamdard ne aa kar jo siine se lagāyā ho
ye mumkin hai ki yun hum ne tumhein aksar rulaya ho
magar ye bhi to hai tum ne hamein aksar sataya ho
bigaDti baat hai jab jab mujhe yun kosti ho tum
ki jaise zindagi ka har sitam mujh se hi paya ho
har ek goli tamanche se nikal kar sochti hogi
agar leni hi hain jaanen to kyon apna paraya ho
hamare qabr par aksar sulagti dhup rahti hai
jo zinda the to chaha tha teri zulfon ka saya ho
teri aankhon ki wusat mein bhari ho kahkashan shayad
teri nazuk si palkon ne falak shayad uThaya ho
hamari KHak uD kar shaKH se karti hai sargoshi
uTha lo phul ye shayad hawa ne hi giraya ho
mulaqaten to hoti hain magar puri nahin hoti
ki jaise nind mein gahri adhura KHwab aaya ho
hui hai aaj be-parda teri ye be-ruKHi kuchh yun
mere haalat ne ruKH se tere parda haTaya ho
lipaT kar aag se dekho 'alaKH' ki lash jalti hai
kisi hamdard ne aa kar jo sine se lagaya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.