ye na samjho ki faqat hai dil ke bahlane ka nam
ye na samjho ki faqat hai dil ke bahlāne kā naam
āshiqī hai ishq meñ had se guzar jaane kā naam
chaar din kī zindagī apne liye kaafī nahīñ
aur kuchh lamhoñ pe likh de apne mastāne kā naam
ġharq kar de mujh ko apnī chāhatoñ kī jhiil meñ
sham.a tū hai to miTā de apne parvāne kā naam
yuuñ dabe paañv na mere ghar meñ aayā kījiye
varna phir badnām ho jā.egā dīvāne kā naam
un ke andāz-e-mohabbat par nazar to Dāliye
ḳhat mujhe vo bhejte haiñ likh ke begāne kā naam
sirf sajdoñ se mukammal bandagī hotī nahīñ
bandagī hai rab ke jalve sāmne aane kā naam
chhū nahīñ saktī gunahgāroñ ko us kī uñgliyāñ
hai siyāsat be-gunāhoñ par sitam Dhāne kā naam
zindagī kī uljhanoñ ko taaq par rakh dījiye
zindagī hai dil kī dhaḌkan tez ho jaane kā naam
haañ zarā 'ḳhurshīd' in nādāñ parindoñ se to pūchh
kyoñ nahīñ lete haiñ vo pardes se aane kā naam
ye na samjho ki faqat hai dil ke bahlane ka nam
aashiqi hai ishq mein had se guzar jaane ka nam
chaar din ki zindagi apne liye kafi nahin
aur kuchh lamhon pe likh de apne mastane ka nam
gharq kar de mujh ko apni chahaton ki jhil mein
shama tu hai to miTa de apne parwane ka nam
yun dabe panw na mere ghar mein aaya kijiye
warna phir badnam ho jaega diwane ka nam
un ke andaz-e-mohabbat par nazar to Daliye
KHat mujhe wo bhejte hain likh ke begane ka nam
sirf sajdon se mukammal bandagi hoti nahin
bandagi hai rab ke jalwe samne aane ka nam
chhu nahin sakti gunahgaron ko us ki ungliyan
hai siyasat be-gunahon par sitam Dhane ka nam
zindagi ki uljhanon ko taq par rakh dijiye
zindagi hai dil ki dhaDkan tez ho jaane ka nam
han zara 'KHurshid' in nadan parindon se to puchh
kyon nahin lete hain wo pardes se aane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.