ye na socho ki thi aapas mein mohabbat kaisi
ye na socho ki thī aapas meñ mohabbat kaisī
ab vo dushman hai to phir us se muravvat kaisī
sochte sochte ye umr guzar jā.egī
aane vaalī hai ḳhudā jaane musībat kaisī
jab charāġhoñ kī hifāzat nahīñ hotī tum se
phir añdherā hai gharoñ meñ to shikāyat kaisī
chhīn le apnī sabhī ne.amateñ pahle mujh se
phir ye ehsās dilā hotī hai ġhurbat kaisī
dekhnā tum kabhī ḳhairāt-e-mohabbat de kar
dil meñ darvesh ke baḌh jaatī hai izzat kaisī
jis kī lāThī meñ hai dam bhaiñs bhī us kī hogī
zulm kyā jaane ki hotī hai sharāfat kaisī
ye hunar bhī to sikhāyā hai tumhīñ ne 'shātir'
aaj vo madd-e-muqābil hai to hairat kaisī
ye na socho ki thi aapas mein mohabbat kaisi
ab wo dushman hai to phir us se murawwat kaisi
sochte sochte ye umr guzar jaegi
aane wali hai KHuda jaane musibat kaisi
jab charaghon ki hifazat nahin hoti tum se
phir andhera hai gharon mein to shikayat kaisi
chhin le apni sabhi neamaten pahle mujh se
phir ye ehsas dila hoti hai ghurbat kaisi
dekhna tum kabhi KHairaat-e-mohabbat de kar
dil mein darwesh ke baDh jati hai izzat kaisi
jis ki laThi mein hai dam bhains bhi us ki hogi
zulm kya jaane ki hoti hai sharafat kaisi
ye hunar bhi to sikhaya hai tumhin ne 'shatir'
aaj wo madd-e-muqabil hai to hairat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.