ye nafraton ka sulagta alaw kaisa hai
ye nafratoñ kā sulagtā alaav kaisā hai
ye kārvān-e-sahar kā paḌāv kaisā hai
lahūluhān hai peshānī-e-sabā kyūñkar
badan pe ahl-e-gulistāñ ke ghaav kaisā hai
mohabbatoñ kī ravish meñ bapā hai raqs-e-sharar
ye shahr-e-ishq vafā meñ tanāv kaisā hai
matā-e-dard ki hai apnā mushtarak virsa
miyān-e-ham-nafasāñ bhed-bhāv kaisā hai
simaT rahe haiñ ujāle ufuq kī bāñhoñ meñ
añdherī raat kā ye chal-chalāv kaisā hai
na ḳhauf-e-kam-nigahī hai na ḳhadsha-e-shab-ḳhūñ
shu.ūr-e-jihat se aarī bahāv kaisā hai
salīb-o-dār ke mausam pe guftugū na sahī
dayār-e-husn kā ab rakh-rakhāv kaisā hai
jabīn-e-fikr pe zaḳhmoñ kī kaifiyat kyā hai
hujūm-e-shauq kā aalam batāo kaisā hai
'shamīm' qīmat-e-jins-e-hayāt kyā Thahrī
lahū kā shahr-e-nigārāñ meñ bhaav kaisā hai
ye nafraton ka sulagta alaw kaisa hai
ye karwan-e-sahar ka paDaw kaisa hai
lahuluhan hai peshani-e-saba kyunkar
badan pe ahl-e-gulistan ke ghaw kaisa hai
mohabbaton ki rawish mein bapa hai raqs-e-sharar
ye shahr-e-ishq wafa mein tanaw kaisa hai
mata-e-dard ki hai apna mushtarak wirsa
miyan-e-ham-nafasan bhed-bhaw kaisa hai
simaT rahe hain ujale ufuq ki banhon mein
andheri raat ka ye chal-chalaw kaisa hai
na KHauf-e-kam-nigahi hai na KHadsha-e-shab-KHun
shuur-e-jihat se aari bahaw kaisa hai
salib-o-dar ke mausam pe guftugu na sahi
dayar-e-husn ka ab rakh-rakhaw kaisa hai
jabin-e-fikr pe zaKHmon ki kaifiyat kya hai
hujum-e-shauq ka aalam batao kaisa hai
'shamim' qimat-e-jins-e-hayat kya Thahri
lahu ka shahr-e-nigaran mein bhaw kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.