ye nahin kahta tujhe pyar na hone pae
ye nahīñ kahtā tujhe pyaar na hone paa.e
haañ magar kū-ba-kū aḳhbār na hone paa.e
naaz se ham ne sajāyā hai gharauñdā dil kā
terī Thokar se ye mismār na hone paa.e
baa'd muddat ke mire dil ne shifā paa.ī hai
ab kahīñ phir se ye bīmār na hone paa.e
daar pe sar ko jo rakkhā to yahī sochā thā
baa'd mere koī sardār na hone paa.e
manzil-e-ishq ko jaate to ho mahbūb mire
par anā raah meñ dīvār na hone paa.e
apnī tanhā.ī ke sho.aloñ meñ jale ham tanhā
dost hamdard the ġham-ḳhvār na hone paa.e
un kī āñkhoñ se ayaañ hotī hai ulfat merī
phir bhī ye zid hai ki iqrār na hone paa.e
mere ghar aane kā va.ada to kiyā hai tum ne
aate aate kahīñ inkār na hone paa.e
dost sab pūchhte rahte haiñ sabab ġhazloñ kā
itnā mohtāt huuñ iz.hār na hone paa.e
ye nahin kahta tujhe pyar na hone pae
han magar ku-ba-ku aKHbar na hone pae
naz se hum ne sajaya hai gharaunda dil ka
teri Thokar se ye mismar na hone pae
ba'd muddat ke mere dil ne shifa pai hai
ab kahin phir se ye bimar na hone pae
dar pe sar ko jo rakkha to yahi socha tha
ba'd mere koi sardar na hone pae
manzil-e-ishq ko jate to ho mahbub mere
par ana rah mein diwar na hone pae
apni tanhai ke shoalon mein jale hum tanha
dost hamdard the gham-KHwar na hone pae
un ki aankhon se ayan hoti hai ulfat meri
phir bhi ye zid hai ki iqrar na hone pae
mere ghar aane ka wada to kiya hai tum ne
aate aate kahin inkar na hone pae
dost sab puchhte rahte hain sabab ghazlon ka
itna mohtat hun izhaar na hone pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.