ye namaz aaKHiri hai ye salam aaKHiri hai
ye namāz āḳhirī hai ye salām āḳhirī hai
mujhe bāryāb kar tū mirā kaam āḳhirī hai
ye kamāl hai junūñ kā tirī justujū meñ nikle
kise aur ham pukāreñ tirā naam āḳhirī hai
sabhī toḌ kar qafas ko haiñ khulī fazā meñ raqsāñ
abhī kashmakash kā maarā ye ġhulām āḳhirī hai
vo jo aanā chāhte haiñ to kaho ki jald aa.eñ
mirā dard lā-davā hai mirī shaam āḳhirī hai
ka.ī baar maiñ ne tauba yahī kah ke toḌ Daalī
mujhe ek jaam saaqī yahī jaam āḳhirī hai
ye jo khā rahā huuñ kam-kam ye jo pī rahā huuñ be-had
ye halāl āḳhirī hai ye harām āḳhirī hai''
sar-e-shām jal uThā hai tirā zaḳhm-e-ārzū bhī
mirī zindagī kī shāyad yahī shaam āḳhirī hai
mirā dam nikal rahā hai mirī aañkh bujh rahī hai
ye salām merā le le ye salām āḳhirī hai
tū jahāñ hai aaj 'ahsan' vahāñ koī ab nahīñ hai
tirī shohratoñ kā shāyad yahī baam āḳhirī hai
ye namaz aaKHiri hai ye salam aaKHiri hai
mujhe baryab kar tu mera kaam aaKHiri hai
ye kamal hai junun ka teri justuju mein nikle
kise aur hum pukaren tera nam aaKHiri hai
sabhi toD kar qafas ko hain khuli faza mein raqsan
abhi kashmakash ka mara ye ghulam aaKHiri hai
wo jo aana chahte hain to kaho ki jald aaen
mera dard la-dawa hai meri sham aaKHiri hai
kai bar main ne tauba yahi kah ke toD Dali
mujhe ek jam saqi yahi jam aaKHiri hai
ye jo kha raha hun kam-kam ye jo pi raha hun be-had
ye halal aaKHiri hai ye haram aaKHiri hai
sar-e-sham jal uTha hai tera zaKHm-e-arzu bhi
meri zindagi ki shayad yahi sham aaKHiri hai
mera dam nikal raha hai meri aankh bujh rahi hai
ye salam mera le le ye salam aaKHiri hai
tu jahan hai aaj 'ahsan' wahan koi ab nahin hai
teri shohraton ka shayad yahi baam aaKHiri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.