ye nanha sa sipahi intihai shauq se izn-e-shahadat mangta hai
ye nanha sa sipahi intihai shauq se izn-e-shahadat mangta hai
Meer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
MORE BYMeer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
ye nanhā sā sipāhī intihā.ī shauq se izn-e-shahādat māñgtā hai
nahīñ ibtāl-e-bātil ke liye shamshīr-bāzī kī ijāzat māñgtā hai
use hai din ko din kahnā use hai shab ko shab kahnā kisī bhī marhale par
kabhī vo yār-e-ġhār-e-mustafā siddīq-e-akbar sī sadāqat māñgtā hai
use to haq ko haq bātil ko bātil kar dikhāne kī taḌap bhī hai lagan bhī
umar fārūq-e-āzam ke zamāne kī ḳhilāfat kī adālat māñgtā hai
kalīd-e-ilm-o-hikmat se kalīd-e-zohd-o-tā.at se hayā-dārī kī sūrat
kabhī usmān-bin-affān sī fahm-o-farāsat kī siyāsat māñgtā hai
kahīñ to jāñ-fishānī kī kahīñ to jāñ-nisārī kī sa.ādat kī talab meñ
kabhī sher-e-ḳhudā sī haidar-e-karrār sī ran meñ shujā.at māñgtā hai
zarā sī jaan hai us kī magar armān hai us ke shahādat kī sifat ke
kabhī hamza kabhī ḳhālid sī maidān-e-vafā meñ istaqāmat māñgtā hai
ye nanha sa sipahi intihai shauq se izn-e-shahadat mangta hai
nahin ibtal-e-baatil ke liye shamshir-bazi ki ijazat mangta hai
use hai din ko din kahna use hai shab ko shab kahna kisi bhi marhale par
kabhi wo yar-e-ghaar-e-mustafa siddiq-e-akbar si sadaqat mangta hai
use to haq ko haq baatil ko baatil kar dikhane ki taDap bhi hai lagan bhi
umar faruq-e-azam ke zamane ki KHilafat ki adalat mangta hai
kalid-e-ilm-o-hikmat se kalid-e-zohd-o-taat se haya-dari ki surat
kabhi usman-bin-affan si fahm-o-farasat ki siyasat mangta hai
kahin to jaan-fishani ki kahin to jaan-nisari ki saadat ki talab mein
kabhi sher-e-KHuda si haidar-e-karrar si ran mein shujaat mangta hai
zara si jaan hai us ki magar arman hai us ke shahadat ki sifat ke
kabhi hamza kabhi KHalid si maidan-e-wafa mein istaqamat mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.