ye nazm-e-gurezan hai barham-zadani pahle
ye nazm-e-gurezāñ hai barham-zadanī pahle
zāhid kī kī taraf se ho tauba-shikanī pahle
phūloñ ke tabassum par ronā abhī aatā hai
dekhī hai in āñkhoñ ne vīrāñ-chamanī pahle
yuuñ husn ke chehre par aa.ī nahīñ barnā.ī
sau shaam ke pardoñ meñ ik sub.h chhanī pahle
ma.alūm kise āḳhir is ḳhāk-e-tamannā se
parvāna uThā pahle yā sham.a banī pahle
ye aish ke hañgāme uḌte hue bādal haiñ
hotī hai nigāhoñ meñ har chhāñv ghanī pahle
ik nīm-tabassum se hotā hai chaman zinda
aisī nafasī sīkhe ġhuncha-dahanī pahle
har naġhma 'nushūr' ab bhī mamnūn-e-taġhazzul hai
sikhlā.ī ġhazal ne hī shīrīñ-suḳhanī pahle
ye nazm-e-gurezan hai barham-zadani pahle
zahid ki ki taraf se ho tauba-shikani pahle
phulon ke tabassum par rona abhi aata hai
dekhi hai in aankhon ne viran-chamani pahle
yun husn ke chehre par aai nahin barnai
sau sham ke pardon mein ek subh chhani pahle
malum kise aaKHir is KHak-e-tamanna se
parwana uTha pahle ya shama bani pahle
ye aish ke hangame uDte hue baadal hain
hoti hai nigahon mein har chhanw ghani pahle
ek nim-tabassum se hota hai chaman zinda
aisi nafasi sikhe ghuncha-dahani pahle
har naghma 'nushur' ab bhi mamnun-e-taghazzul hai
sikhlai ghazal ne hi shirin-suKHani pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.