ye nisabon mein likhi aur likhai na gai
ye nisāboñ meñ likhī aur likhā.ī na ga.ī
zindagī ham ko kitāboñ meñ paḌhā.ī na ga.ī
ek-tarfa bhī nibhāte haiñ nibhāne vaale
tujh se do-tarfa mohabbat bhī nibhā.ī na ga.ī
yuuñ mirā hāfiza kamzor bahut hai mujh se
ek laḌkī hai jo dillī kī bhulā.ī na ga.ī
us ke chehre pe numāyāñ haiñ mire hijr ke daaġh
allāh rakhe use kaise sar-e-ā.īna ga.ī
jism kī pyaas kisī taur bujhā lete haiñ
ruuh kī pyaas magar ham se bujhā.ī na ga.ī
bhuuk ugne lagī gandum kī jagah khetoñ meñ
hākim-e-vaqt tirī harza-sarā.ī na ga.ī
naqsha-e-dahr meñ do mulk haiñ aise jin meñ
muddatoñ ba.ad bhī sarhad kī laḌā.ī na ga.ī
bānū-e-shahar-e-suḳhan 'mīr' kā boyā kaaTā
tere 'hāshim' se na.ī fasl ugaa.ī na ga.ī
ye nisabon mein likhi aur likhai na gai
zindagi hum ko kitabon mein paDhai na gai
ek-tarfa bhi nibhate hain nibhane wale
tujh se do-tarfa mohabbat bhi nibhai na gai
yun mera hafiza kamzor bahut hai mujh se
ek laDki hai jo dilli ki bhulai na gai
us ke chehre pe numayan hain mere hijr ke dagh
allah rakhe use kaise sar-e-aina gai
jism ki pyas kisi taur bujha lete hain
ruh ki pyas magar hum se bujhai na gai
bhuk ugne lagi gandum ki jagah kheton mein
hakim-e-waqt teri harza-sarai na gai
naqsha-e-dahr mein do mulk hain aise jin mein
muddaton baad bhi sarhad ki laDai na gai
banu-e-shahar-e-suKHan 'mir' ka boya kaTa
tere 'hashim' se nai fasl ugai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.