ye nizam-e-zindagi badla hai kya
ye nizām-e-zindagī badlā hai kyā
dekhte rahiye abhī dekhā hai kyā
umr kaaTī hai samajhte būjhte
āḳhirash samjhā hai kyā būjhā hai kyā
aa.ina bhī dekhtā ho aap ko
yuuñ bhī ā.īna kabhī dekhā hai kyā
jis pe jaañ dene kī khāte ho qasam
TuuT kar us ko kabhī chāhā hai kyā
māñgte phirte ho saaya dhuup se
kyoñ miyāñ sar par koī saayā hai kyā
ai kabūtar sar pe aa pahuñchā uqaab
be-ḳhabar mastī meñ tū uḌtā hai kyā
zeb-o-zebā.ish kī ḳhūnīñ dauḌ meñ
kyā hai zebā aur nā-zebā hai kyā
duur tak andher hī andher hai
lashkar is jā se koī guzrā hai kyā
zulm ab to qābil-e-ezāz hai
zalzala phir shahr meñ aanā hai kyā
jū-e-ḳhūñ hai ik tasavvur meñ ravāñ
jaane is taqdīr meñ likkhā hai kyā
phir hayāt-afroz ho bazm-e-suḳhan
haañ 'sahar' sar meñ yahī saudā hai kyā
ye nizam-e-zindagi badla hai kya
dekhte rahiye abhi dekha hai kya
umr kaTi hai samajhte bujhte
aaKHirash samjha hai kya bujha hai kya
aaina bhi dekhta ho aap ko
yun bhi aaina kabhi dekha hai kya
jis pe jaan dene ki khate ho qasam
TuT kar us ko kabhi chaha hai kya
mangte phirte ho saya dhup se
kyon miyan sar par koi saya hai kya
ai kabutar sar pe aa pahuncha uqab
be-KHabar masti mein tu uDta hai kya
zeb-o-zebaish ki KHunin dauD mein
kya hai zeba aur na-zeba hai kya
dur tak andher hi andher hai
lashkar is ja se koi guzra hai kya
zulm ab to qabil-e-ezaz hai
zalzala phir shahr mein aana hai kya
ju-e-KHun hai ek tasawwur mein rawan
jaane is taqdir mein likkha hai kya
phir hayat-afroz ho bazm-e-suKHan
han 'sahar' sar mein yahi sauda hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.