ye nukta zehn mein rakhna kisi ilzam se pahle
ye nukta zehn meñ rakhnā kisī ilzām se pahle
tumhārā naam aa.egā hamāre naam se pahle
nazar aa jā.eñge ahbāb bhī mushkil to paḌne do
nazar aate haiñ kab taare savād-e-shām se pahle
agar ai mohtasib kaTTar muvahhid ham nahīñ hote
ḳhudā kā naam kyoñ lete butoñ ke naam se pahle
yaqīnan ham unheñ pahle se baḌh kar yaad aate haiñ
jabhī to naam bhī lete haiñ ab dushnām se pahle
agar nazd-e-ḳhudā ishq-e-butāñ achchhā nahīñ hotā
na kartā ishq ko paidā ḳhudā islām se pahle
kisī bulbul se jugnū ahd-e-nau kā chal diyā kah kar
parinde lauT jaate haiñ gharoñ ko shaam se pahle
kahīñ aisā na ho ḳhauf-e-ḳhudā dil meñ samā jaa.e
jo karnā ho vo kar lo bandish-e-ehrām se pahle
butān-e-ḳhud-tarāshīda kī puujā ho bhī saktī hai
magar fatvā to le lo muftī-e-islām se pahle
tahammul nā-guzīr-e-ishq aur ham itne be-sabre
fasāna bhī nahīñ paḌhte magar anjām se pahle
koī dil toḌnā ho yā koī masjid girānā ho
kahā karte haiñ bismillāh ham har kaam se pahle
'shahāb' is daur meñ yuuñ dostoñ se ḳhauf khāte haiñ
Darā karte the jaise gardish-e-ayyām se pahle
ye nukta zehn mein rakhna kisi ilzam se pahle
tumhaara nam aaega hamare nam se pahle
nazar aa jaenge ahbab bhi mushkil to paDne do
nazar aate hain kab tare sawad-e-sham se pahle
agar ai mohtasib kaTTar muwahhid hum nahin hote
KHuda ka nam kyon lete buton ke nam se pahle
yaqinan hum unhen pahle se baDh kar yaad aate hain
jabhi to nam bhi lete hain ab dushnam se pahle
agar nazd-e-KHuda ishq-e-butan achchha nahin hota
na karta ishq ko paida KHuda islam se pahle
kisi bulbul se jugnu ahd-e-nau ka chal diya kah kar
parinde lauT jate hain gharon ko sham se pahle
kahin aisa na ho KHauf-e-KHuda dil mein sama jae
jo karna ho wo kar lo bandish-e-ehram se pahle
butan-e-KHud-tarashida ki puja ho bhi sakti hai
magar fatwa to le lo mufti-e-islam se pahle
tahammul na-guzir-e-ishq aur hum itne be-sabre
fasana bhi nahin paDhte magar anjam se pahle
koi dil toDna ho ya koi masjid girana ho
kaha karte hain bismillah hum har kaam se pahle
'shahab' is daur mein yun doston se KHauf khate hain
Dara karte the jaise gardish-e-ayyam se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.