Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nur-e-sahar rang-e-sahar tak nahin pahuncha

Mohammad Bin Hasan Sharar

ye nur-e-sahar rang-e-sahar tak nahin pahuncha

Mohammad Bin Hasan Sharar

MORE BYMohammad Bin Hasan Sharar

    ye nūr-e-sahar rang-e-sahar tak nahīñ pahuñchā

    yā'nī ki guhar āb-e-guhar tak nahīñ pahuñchā

    ārām se so jā.iye kuchh fikr na kiije

    ye sail-e-ravāñ aap ke ghar tak nahīñ pahuñchā

    ab mere miTāne na.ī raah nikālo

    ye tesha-e-āfāt bhī sar tak nahīñ pahuñchā

    baj uThte nahīñ ḳhauf se kyoñ kaan ke parde

    kyā shor-e-qayāmat abhī dar tak nahīñ pahuñchā

    baḌh kar dil-e-betāb ne ḳhud raah dikhā.ī

    jab qāfila-e-umr sahar tak nahīñ pahuñchā

    majbūr-e-masā.ib ne baḌī yaas se dekhā

    jab nāla-e-shab bāb-e-asar tak nahīñ pahuñchā

    be-rāh-ravī koī had bhī hai 'sharār' aaj

    barsoñ musāfir abhī ghar tak nahīñ pahuñchā

    ye nur-e-sahar rang-e-sahar tak nahin pahuncha

    ya'ni ki guhar aab-e-guhar tak nahin pahuncha

    aaram se so jaiye kuchh fikr na kije

    ye sail-e-rawan aap ke ghar tak nahin pahuncha

    ab mere miTane ki nai rah nikalo

    ye tesha-e-afat bhi sar tak nahin pahuncha

    baj uThte nahin KHauf se kyon kan ke parde

    kya shor-e-qayamat abhi dar tak nahin pahuncha

    baDh kar dil-e-betab ne KHud rah dikhai

    jab qafila-e-umr sahar tak nahin pahuncha

    majbur-e-masaib ne baDi yas se dekha

    jab nala-e-shab bab-e-asar tak nahin pahuncha

    be-rah-rawi ki koi had bhi hai 'sharar' aaj

    barson ka musafir abhi ghar tak nahin pahuncha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now