ye pani saaton ka aaine sa kyon nahin hai
ye paanī sā.atoñ kā ā.īne sā kyoñ nahīñ hai
nadī se āsmānī rang jhalkā kyoñ nahīñ hai
mirī rātoñ ko jis jugnūñ kī itnī aarzū thī
vo merī justujū meñ jaltā bujhtā kyoñ nahīñ hai
maiñ muḌne dūñgī us ko ajnabī manzil kī jānib
vo mere ḳhuun meñ bahtā hai merā kyoñ nahīñ hai
ta'ajjub hai ki maiñ raste banāne meñ lagī huuñ
vo dariyā hai to dīvāreñ girātā kyoñ nahīñ hai
ye ġham kī chaap tham jaa.e to dil se pūchhtī huuñ
ḳhushī ke ārizoñ kā rang gahrā kyoñ nahīñ hai
maiñ hañstī huuñ to aañsū khaulne lagte haiñ 'mahnāz'
ye paanī ġham ke sho.aloñ par ubaltā kyoñ nahīñ hai
ye pani saaton ka aaine sa kyon nahin hai
nadi se aasmani rang jhalka kyon nahin hai
meri raaton ko jis jugnun ki itni aarzu thi
wo meri justuju mein jalta bujhta kyon nahin hai
main muDne dungi us ko ajnabi manzil ki jaanib
wo mere KHun mein bahta hai mera kyon nahin hai
ta'ajjub hai ki main raste banane mein lagi hun
wo dariya hai to diwaren giraata kyon nahin hai
ye gham ki chap tham jae to dil se puchhti hun
KHushi ke aarizon ka rang gahra kyon nahin hai
main hansti hun to aansu khaulne lagte hain 'mahnaz'
ye pani gham ke shoalon par ubalta kyon nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.