ye pani yahin tha hamare bina
ye paanī yahīñ thā hamāre binā
azal se koī ruup dhāre binā
ḳhudā par bharosa nahīñ ho rahā
havā chal rahī hai tumhāre binā
jo martā na ho pyaar us se kareñ
koī to ho paidā sahāre binā
yahī sach hai par ye hī ġhaflat bhī hai
kahīñ kuchh nahīñ hai pukāre binā
ḳhudā ko kabhī to harā.eñge ham
mareñge nahīñ jang haare binā
ye pani yahin tha hamare bina
azal se koi rup dhaare bina
KHuda par bharosa nahin ho raha
hawa chal rahi hai tumhaare bina
jo marta na ho pyar us se karen
koi to ho paida sahaare bina
yahi sach hai par ye hi ghaflat bhi hai
kahin kuchh nahin hai pukare bina
KHuda ko kabhi to haraenge hum
marenge nahin jang haare bina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.