ye paDaw to ek bahana tha
ye paḌāv to ik bahāna thā
ham ne raḳht-e-safar gañvānā thā
jab gayā thā tabāh kar ke mujhe
us kā andāz fātehāna thā
jis ne patthar se sāzisheñ kī thiiñ
aise shīshe ko TuuT jaanā thā
koī taaza nigāh kyā kartī
rog dil kā bahut purānā thā
zabt kī bheñT chaḌh ga.e āḳhir
ham ko nāmūs-e-ġham bachānā thā
rāsta koī to nikaltā zarūr
dhund ke paar ham ko jaanā thā
bhed ḳhud apnā ham samajh na sake
aur kis kā surāġh paanā thā
har bagūla huā rahīn-e-safar
kyā havāoñ kā tāziyāna thā
ek din be-sadā jazīroñ se
apnī jānib palaT ke aanā thā
us ne apnī hifāzatoñ ke liye
ḳhat-e-fāsil hameñ banānā thā
kyoñ savālī ho chāñd ke 'ansar'
apne ghar meñ diyā jalānā thā
ye paDaw to ek bahana tha
hum ne raKHt-e-safar ganwana tha
jab gaya tha tabah kar ke mujhe
us ka andaz fatehana tha
jis ne patthar se sazishen ki thin
aise shishe ko TuT jaana tha
koi taza nigah kya karti
rog dil ka bahut purana tha
zabt ki bhenT chaDh gae aaKHir
hum ko namus-e-gham bachana tha
rasta koi to nikalta zarur
dhund ke par hum ko jaana tha
bhed KHud apna hum samajh na sake
aur kis ka suragh pana tha
har bagula hua rahin-e-safar
kya hawaon ka taziyana tha
ek din be-sada jaziron se
apni jaanib palaT ke aana tha
us ne apni hifazaton ke liye
KHat-e-fasil hamein banana tha
kyon sawali ho chand ke 'ansar'
apne ghar mein diya jalana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.