ye pahla hijr tha ye rut kabhi aai nahin thi
ye pahlā hijr thā ye rut kabhī aa.ī nahīñ thī
fazā-e-jāñ bhī pahle aise sahrā.ī nahīñ thī
jo galiyoñ galiyoñ uḌtī phir rahī thī shahr-bhar meñ
vo mere pyaar kī ḳhushbū thī rusvā.ī nahīñ thī
mire pahlū meñ ab maiñ bhī nahīñ hotā thā aksar
ye jo bhī mas.ala thā par ye tanhā.ī nahīñ thī
mujhe marnā bhī thā aur marne kā Dar bhī lagā thā
so maiñ Duubā udhar jis or gahrā.ī nahīñ thī
añdhere bebasī aañsū umiid aur ḳhvāb-e-fardā
mirī āñkhoñ meñ sab kuchh thā pa bīnā.ī nahīñ thī
mire māthe ko chūmā lab kahāñ chūme the us ne
ye bas dukh kī talāfī thī ye bharpā.ī nahīñ thī
hamāre haal par kahne lagīñ vo būḌhī āñkheñ
hamāre vaqt kyā duniyā tamāshā.ī nahīñ thī
achānak ye lagā ham-zād ho jaise vo merā
ka.ī barsoñ talak jis se shanāsā.ī nahīñ thī
bahut bechain thī tasvīr meñ vo shoḳh laḌkī
laboñ par husn to phailā thā goyā.ī nahīñ thī
ye pahla hijr tha ye rut kabhi aai nahin thi
faza-e-jaan bhi pahle aise sahrai nahin thi
jo galiyon galiyon uDti phir rahi thi shahr-bhar mein
wo mere pyar ki KHushbu thi ruswai nahin thi
mere pahlu mein ab main bhi nahin hota tha aksar
ye jo bhi masala tha par ye tanhai nahin thi
mujhe marna bhi tha aur marne ka Dar bhi laga tha
so main Duba udhar jis or gahrai nahin thi
andhere bebasi aansu umid aur KHwab-e-farda
meri aankhon mein sab kuchh tha pa binai nahin thi
mere mathe ko chuma lab kahan chume the us ne
ye bas dukh ki talafi thi ye bharpai nahin thi
hamare haal par kahne lagin wo buDhi aankhen
hamare waqt kya duniya tamashai nahin thi
achanak ye laga ham-zad ho jaise wo mera
kai barson talak jis se shanasai nahin thi
bahut bechain thi taswir mein wo shoKH laDki
labon par husn to phaila tha goyai nahin thi
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 85)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.