ye peD ye pahaD zamin ki umang hain
ye peḌ ye pahāḌ zamīñ kī umañg haiñ
saare nasheb jin kī uThānoñ pe dañg haiñ
bāhar ho habs phir bhī darīcha khulā rakhūñ
ye ḳhud tasalliyāñ mire jiine kā Dhañg haiñ
DhūñDūñ ki intihā kī mujhe intihā mile
ye shash-jahāt merī tamannā pe tañg haiñ
ik umr ik makān kī ta.amīr meñ lage
ayyām se ziyāda garāñ ḳhisht-o-sañg haiñ
chahke hazār saut meñ ye tā.ir-e-nazar
kirnoñ ke paas yuuñ to yahī saat rañg haiñ
vaise hameñ nadāmat-e-be-chehragī nahīñ
har-chand tere shahr meñ be-nām-o-nañg haiñ
ye peD ye pahaD zamin ki umang hain
sare nasheb jin ki uThanon pe dang hain
bahar ho habs phir bhi daricha khula rakhun
ye KHud tasalliyan mere jine ka Dhang hain
DhunDun ki intiha ki mujhe intiha mile
ye shash-jahat meri tamanna pe tang hain
ek umr ek makan ki tamir mein lage
ayyam se ziyaada garan KHisht-o-sang hain
chahke hazar saut mein ye tair-e-nazar
kirnon ke pas yun to yahi sat rang hain
waise hamein nadamat-e-be-chehragi nahin
har-chand tere shahr mein be-nam-o-nang hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.