ye phul hain ye bahaaren hain ye gulistan hai
ye phuul haiñ ye bahāreñ haiñ ye gulistāñ hai
jise bhī dekhiye apnī jagah pareshāñ hai
jo ashk aañkh se Tapke vo hashr-sāmāñ hai
jo mauj dil se taḌap kar uThe vo tūfāñ hai
dil-e-tabāh ḳhabar bhī hai tere miTne par
sunā hai maiñ ne ki ab vo bhī kuchh pareshāñ hai
yahī uThātā hai tūfān dil kī duniyā meñ
tirā ḳhayāl bhī kis darja hashr-sāmāñ hai
use fazā-e-do-ālam se vāsta hī nahīñ
jise tumhārī tamanna tumhārā armāñ hai
hazār tarah kī rangīniyāñ haiñ ġhunchoñ meñ
magar nazar to tumhāre liye pareshāñ hai
'vakīl' DhūñDhtā hai dil usī ke jalvoñ ko
ḳhayāl-e-ishq-o-mohabbat se jo gurezāñ hai
ye phul hain ye bahaaren hain ye gulistan hai
jise bhi dekhiye apni jagah pareshan hai
jo ashk aankh se Tapke wo hashr-saman hai
jo mauj dil se taDap kar uThe wo tufan hai
dil-e-tabah KHabar bhi hai tere miTne par
suna hai main ne ki ab wo bhi kuchh pareshan hai
yahi uThata hai tufan dil ki duniya mein
tera KHayal bhi kis darja hashr-saman hai
use faza-e-do-alam se wasta hi nahin
jise tumhaari tamanna tumhaara arman hai
hazar tarah ki ranginiyan hain ghunchon mein
magar nazar to tumhaare liye pareshan hai
'wakil' DhunDhta hai dil usi ke jalwon ko
KHayal-e-ishq-o-mohabbat se jo gurezan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.