ye pyar ye KHulus ye isar dekh kar
ye pyaar ye ḳhulūs ye īsār dekh kar
bhūlegā kaun aap ko ik baar dekh kar
gul tak rasā.ī koī baḌī baat to nahīñ
ghabrā.iye na jāda-e-pur-ḳhār dekh kar
ye sochnā ġhalat hai ki manzil na pā.eñge
uTTheñ qadam jo vaqt kī raftār dekh kar
dekhā gayā hai Thokareñ khāte haiñ vo hī log
jo dauḌte haiñ raah ko hamvār dekh kar
ham ne kiye gunāh to rahmat pe thī nigāh
us kā karam bhī hogā gunahgār dekh kar
'gulshan' na mil sakūñgā zamāne ke saath saath
lagtā yahī hai ziist kī raftār dekh kar
ye pyar ye KHulus ye isar dekh kar
bhulega kaun aap ko ek bar dekh kar
gul tak rasai koi baDi baat to nahin
ghabraiye na jada-e-pur-KHar dekh kar
ye sochna ghalat hai ki manzil na paenge
uTThen qadam jo waqt ki raftar dekh kar
dekha gaya hai Thokaren khate hain wo hi log
jo dauDte hain rah ko hamwar dekh kar
hum ne kiye gunah to rahmat pe thi nigah
us ka karam bhi hoga gunahgar dekh kar
'gulshan' na mil sakunga zamane ke sath sath
lagta yahi hai zist ki raftar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.