ye pyas bujhti nahin thi chanab rakhte the
ye pyaas bujhtī nahīñ thī chanāb rakhte the
ham apne dasht meñ kyā kyā sarāb rakhte the
samay kī rau meñ bahe jā rahe haiñ ek hī samt
ga.e vo din ki dinoñ kā hisāb rakhte the
junūñ ke saath ḳhirad bhī sarisht meñ rakkhī
salīqa bhī tire ḳhāna-ḳharāb rakhte the
kahāñ ga.e vo jo raushan the tāqchoñ meñ charāġh
kahāñ ga.e vo jo āñkhoñ meñ ḳhvāb rakhte the
hamārā vāsta machhlī se jal se jaal se thā
so ek duniyā alag zer-e-āb rakhte the
zamīñ pe ghūmte rahte the saarā din 'qāsim'
falak se raat savāl-o-javāb rakhte the
ye pyas bujhti nahin thi chanab rakhte the
hum apne dasht mein kya kya sarab rakhte the
samay ki rau mein bahe ja rahe hain ek hi samt
gae wo din ki dinon ka hisab rakhte the
junun ke sath KHirad bhi sarisht mein rakkhi
saliqa bhi tere KHana-KHarab rakhte the
kahan gae wo jo raushan the taqchon mein charagh
kahan gae wo jo aankhon mein KHwab rakhte the
hamara wasta machhli se jal se jal se tha
so ek duniya alag zer-e-ab rakhte the
zamin pe ghumte rahte the sara din 'qasim'
falak se raat sawal-o-jawab rakhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.