ye qaul aql ka hai mera faisla nahin
ye qaul aql kā hai mirā faisla nahīñ
muhtāj ho subūt kā ho vo ḳhudā nahīñ
kyuuñ rāz-dār-e-dil pe bharosa kiyā nahīñ
ā.īna dekhtā hai magar boltā nahīñ
rauñde ga.e haiñ phuul bhī kāñToñ ke saath saath
gulshan meñ inqalāb se koī bachā nahīñ
bahte nahīñ haiñ vaqt kī raftār dekh kar
ham ḳhud bure bane haiñ zamāna burā nahīñ
gumrāh kar ke chhoḌegā ye shauq-e-rah-ravī
ham us taraf chale haiñ jidhar rāsta nahīñ
hai jurm sach jo pūchho to ye hai pate kī baat
un kā pata milā hai to apnā pata nahīñ
ye qaul aql ka hai mera faisla nahin
muhtaj ho subut ka ho wo KHuda nahin
kyun raaz-dar-e-dil pe bharosa kiya nahin
aaina dekhta hai magar bolta nahin
raunde gae hain phul bhi kanTon ke sath sath
gulshan mein inqalab se koi bacha nahin
bahte nahin hain waqt ki raftar dekh kar
hum KHud bure bane hain zamana bura nahin
gumrah kar ke chhoDega ye shauq-e-rah-rawi
hum us taraf chale hain jidhar rasta nahin
hai jurm sach jo puchho to ye hai pate ki baat
un ka pata mila hai to apna pata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.