ye qayamat bhi mere sar se guzar jaane do
ye qayāmat bhī mire sar se guzar jaane do
vā'da kar ke vo mukarte haiñ mukar jaane do
ḳhud-baḳhud ā.eñge vo bahr-e-'ayādat ik din
aah ko tā-had-e-me'rāj-e-asar jaane do
rāhbar sust-qadam qāfile vaale be-zauq
mat karo aise meñ tum 'azm-e-safar jaane do
maut se pahle mohabbat meñ sukūñ nā-mumkin
zindagī naam hai marne kā to mar jaane do
'azm-e-mohkam kā sahārā hai safīna ko 'amīr'
zad meñ tūfān-e-havādis kī utar jaane do
ye qayamat bhi mere sar se guzar jaane do
wa'da kar ke wo mukarte hain mukar jaane do
KHud-baKHud aaenge wo bahr-e-'ayaadat ek din
aah ko ta-had-e-me'raj-e-asar jaane do
rahbar sust-qadam qafile wale be-zauq
mat karo aise mein tum 'azm-e-safar jaane do
maut se pahle mohabbat mein sukun na-mumkin
zindagi nam hai marne ka to mar jaane do
'azm-e-mohkam ka sahaara hai safina ko 'amir'
zad mein tufan-e-hawadis ki utar jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.