ye raat hai ek jalti hui raat safar ki
ye raat hai ik jaltī huī raat safar kī
aise meñ kahīñ yaad hameñ aa.e jo ghar kī
kuchh aur mirī pyaas baḌhī us ko pata kyā
bhūle se agar us ne kabhī mujh pe nazar kī
tum jā ke kisī ḳhvāb kī bastī meñ base ho
jo yaad tumheñ aa.ī nahīñ apne hī ghar kī
vo kaun sī manzil hai jahāñ chain milegā
is khoj meñ ik 'umr yahāñ sab ne basar kī
bhūle se koī chāñd ubhar aa.e to 'ārif'
kaT jā.egī ye raat siyah-rāt safar kī
ye raat hai ek jalti hui raat safar ki
aise mein kahin yaad hamein aae jo ghar ki
kuchh aur meri pyas baDhi us ko pata kya
bhule se agar us ne kabhi mujh pe nazar ki
tum ja ke kisi KHwab ki basti mein base ho
jo yaad tumhein aai nahin apne hi ghar ki
wo kaun si manzil hai jahan chain milega
is khoj mein ek 'umr yahan sab ne basar ki
bhule se koi chand ubhar aae to 'arif'
kaT jaegi ye raat siyah-raat safar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.