ye raat hai ki teri chashm-e-sandalin ka fusun
ye raat hai ki tirī chashm-e-sandalīñ kā fusūñ
ki jhūmtā chalā jaatā hai kaif-e-hijr meñ dil
jamīl chehre pe āñkhoñ ke narm-rau halqe
ufuq pe hāla-e-mahtāb ko tarāshte haiñ
hamārī niiñd ke TuuTe hue shabistāñ meñ
tumhāre hoñT kisī ḳhvāb ko tarāshte haiñ
ye raat hai yā udāsī-bharī ḳhalāoñ meñ
bikher dī hai kisī ne mire vajūd kī ḳhaak
kahīñ pe raakh chamaktī hai ahd-o-paimāñ kī
kahīñ pe nam huī jaatī hai hast-o-būd kī ḳhaak
ye tum ye raat ye jaadū ye chāñd kā naġhma
ye tum ye manzar-e-mahtāb dekhtī huī maiñ
ye tum ye vaqt tumhāre huzūr jhuktā huā
kahīñ nahīñ huuñ magar duur tak kahīñ nahīñ maiñ
ye raat hai ki teri chashm-e-sandalin ka fusun
ki jhumta chala jata hai kaif-e-hijr mein dil
jamil chehre pe aankhon ke narm-rau halqe
ufuq pe haala-e-mahtab ko tarashte hain
hamari nind ke TuTe hue shabistan mein
tumhaare honT kisi KHwab ko tarashte hain
ye raat hai ya udasi-bhari KHalaon mein
bikher di hai kisi ne mere wajud ki KHak
kahin pe rakh chamakti hai ahd-o-paiman ki
kahin pe nam hui jati hai hast-o-bud ki KHak
ye tum ye raat ye jadu ye chand ka naghma
ye tum ye manzar-e-mahtab dekhti hui main
ye tum ye waqt tumhaare huzur jhukta hua
kahin nahin hun magar dur tak kahin nahin main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.