ye raat teri zulf-e-moambar to nahin hai
ye raat tirī zulf-e-mo.ambar to nahīñ hai
ye chāñd tirā chehra-e-anvar to nahīñ hai
har shaḳhs muqaddar kā sikandar to nahīñ hai
har ik ko ġham-e-ishq mayassar to nahīñ hai
samjhā hai jise saarā jahāñ amn kā dushman
vo shaḳhs mohabbat kā payambar to nahīñ hai
kis tarah bane dāman-e-mahbūb kī zīnat
aañsū hai mirī aañkh meñ gauhar to nahīñ hai
lā saktā huuñ maiñ chāñd sitāroñ ko zamīñ par
ye bhī mire imkān se bāhar to nahīñ hai
sūraj bhī shafaq rang huā jis kī talab meñ
vo manzar-e-rañgīñ pas-e-manzar to nahīñ hai
maslūb mujhe karke bhī kyā fikr hai tujh ko
charchā tirī bedād kā ghar ghar to nahīñ hai
maiñ dhuup kī shiddat se sulagtā huuñ sarāpā
chaḌhtā huā sūraj mire sar par to nahīñ hai
har sang se asnām tarāshe nahīñ jaate
is raaz se vāqif magar aazar to nahīñ hai
maiñ rok rahā huuñ magar aañsū nahīñ rukte
āñkhoñ meñ chhupā koī samundar to nahīñ hai
kyoñ us pe asar ho na tire jaur-o-sitam kā
is siine meñ dil hai koī patthar to nahīñ hai
go gard-e-tafakkur mire chehre pa hai lekin
ā.īna-e-ehsās mukaddar to nahīñ hai
maiñ jis ko 'hunar' chāroñ taraf DhūñD rahā huuñ
vo shaḳhs mirī zaat ke andar to nahīñ hai
ye raat teri zulf-e-moambar to nahin hai
ye chand tera chehra-e-anwar to nahin hai
har shaKHs muqaddar ka sikandar to nahin hai
har ek ko gham-e-ishq mayassar to nahin hai
samjha hai jise sara jahan amn ka dushman
wo shaKHs mohabbat ka payambar to nahin hai
kis tarah bane daman-e-mahbub ki zinat
aansu hai meri aankh mein gauhar to nahin hai
la sakta hun main chand sitaron ko zamin par
ye bhi mere imkan se bahar to nahin hai
suraj bhi shafaq rang hua jis ki talab mein
wo manzar-e-rangin pas-e-manzar to nahin hai
maslub mujhe karke bhi kya fikr hai tujh ko
charcha teri bedad ka ghar ghar to nahin hai
main dhup ki shiddat se sulagta hun sarapa
chaDhta hua suraj mere sar par to nahin hai
har sang se asnam tarashe nahin jate
is raaz se waqif magar aazar to nahin hai
main rok raha hun magar aansu nahin rukte
aankhon mein chhupa koi samundar to nahin hai
kyon us pe asar ho na tere jaur-o-sitam ka
is sine mein dil hai koi patthar to nahin hai
go gard-e-tafakkur mere chehre pa hai lekin
aaina-e-ehsas mukaddar to nahin hai
main jis ko 'hunar' chaaron taraf DhunD raha hun
wo shaKHs meri zat ke andar to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.