ye rah-rawan-e-shauq jo diwar ke sae mein hain
ye rah-ravān-e-shauq jo dīvār ke saa.e meñ haiñ
sach pūchhiye to ik na.e āzār ke saa.e meñ haiñ
jis ko bhī dekho bas idhar qīmat lagāne aa gayā
lagtā hai jaise ham kisī bāzār ke saa.e meñ haiñ
apnoñ meñ rahte the to ham bhī kis qadar gumnām the
mash.hūr haiñ jis vaqt se aġhyār ke saa.e meñ haiñ
ham ko bhalā dariyā tirī tuġhyāniyoñ se ḳhauf kyā
apnī to saarī kashtiyāñ patvār ke saa.e meñ haiñ
vo kitne dānish-mand haiñ un par hameñ bhī rashk hai
jo log apne dushman-e-hushiyār ke saa.e meñ haiñ
raushan haiñ kitne rāste īqān ke iqrār ke
kyā log haiñ jo aaj tak inkār ke saa.e meñ haiñ
un ke numū kī fikr bhī āḳhir hameñ kaise na ho
apne sabhī paude ghane ashjār ke saa.e meñ haiñ
ab to ġhanīmoñ se hameñ kuchh Dar nahīñ lagtā kabhī
ham ik zamāne se yahāñ talvār ke saa.e meñ haiñ
ye rah-rawan-e-shauq jo diwar ke sae mein hain
sach puchhiye to ek nae aazar ke sae mein hain
jis ko bhi dekho bas idhar qimat lagane aa gaya
lagta hai jaise hum kisi bazar ke sae mein hain
apnon mein rahte the to hum bhi kis qadar gumnam the
mashhur hain jis waqt se aghyar ke sae mein hain
hum ko bhala dariya teri tughyaniyon se KHauf kya
apni to sari kashtiyan patwar ke sae mein hain
wo kitne danish-mand hain un par hamein bhi rashk hai
jo log apne dushman-e-hushiyar ke sae mein hain
raushan hain kitne raste iqan ke iqrar ke
kya log hain jo aaj tak inkar ke sae mein hain
un ke numu ki fikr bhi aaKHir hamein kaise na ho
apne sabhi paude ghane ashjar ke sae mein hain
ab to ghanimon se hamein kuchh Dar nahin lagta kabhi
hum ek zamane se yahan talwar ke sae mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.