ye rang ab ke faza mein naya naya sa hai
ye rang ab ke fazā meñ nayā nayā sā hai
ujāḌ-rut meñ bhī gulshan khilā khilā sā hai
udaas koī yūñhī to kabhī nahīñ hotā
ki us ke zehn meñ kuchh to dabā dabā sā hai
kamī nahīñ hai koī zindagī meñ ab lekin
hai koī zaḳhm jo ab tak harā harā sā hai
vo merā haath bahut kas ke thāmnā us kā
batā rahā hai ki vo kuchh Darā Darā sā hai
sabhī se bazm meñ hañs hañs ke mil rahā hai vo
jalā rahā hai mujhe yā ḳhafā ḳhafā sā hai
vo jis ke pyaar ne mujh ko bujhā diyā thā kabhī
sharāra ban ke vo man meñ dabā dabā sā hai
ye rang ab ke faza mein naya naya sa hai
ujaD-rut mein bhi gulshan khila khila sa hai
udas koi yunhi to kabhi nahin hota
ki us ke zehn mein kuchh to daba daba sa hai
kami nahin hai koi zindagi mein ab lekin
hai koi zaKHm jo ab tak hara hara sa hai
wo mera hath bahut kas ke thamna us ka
bata raha hai ki wo kuchh Dara Dara sa hai
sabhi se bazm mein hans hans ke mil raha hai wo
jala raha hai mujhe ya KHafa KHafa sa hai
wo jis ke pyar ne mujh ko bujha diya tha kabhi
sharara ban ke wo man mein daba daba sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.