ye reg-e-sahra pe jo kahani paDi hui hai
ye reg-e-sahrā pe jo kahānī paḌī huī hai
isī kahānī meñ zindagānī paḌī huī hai
koī bayābāñ se mujh ko āvāz de rahā hai
tumhāre hisse kī rā.egānī paḌī huī hai
kisī ke raste meñ manziloñ ke nishāñ paḌe haiñ
kisī ke raste meñ nā-gahānī paḌī huī hai
ye kaun palkoñ se ḳhāk-rūbī meñ munhamik hai
ye kis kī chaukhaT pe jāvedānī paḌī huī hai
tumhāre jaane ke baad bhī silvaToñ kī sūrat
udaas bistar pe ḳhush-gumānī paḌī huī hai
agarche ab us ke saare kirdār mar chuke haiñ
magar kitāboñ meñ vo kahānī paḌī huī hai
za.īfī hasrat bharī nigāhoñ se dekhtī hai
qazā ke ghere meñ naujavānī paḌī huī hai
kahāñ se lā.ūñ maiñ pyāse dariyā kī chārasāzī
kahāñ ye ajdād kī nishānī paḌī huī hai
ye reg-e-sahra pe jo kahani paDi hui hai
isi kahani mein zindagani paDi hui hai
koi bayaban se mujh ko aawaz de raha hai
tumhaare hisse ki raegani paDi hui hai
kisi ke raste mein manzilon ke nishan paDe hain
kisi ke raste mein na-gahani paDi hui hai
ye kaun palkon se KHak-rubi mein munhamik hai
ye kis ki chaukhaT pe jawedani paDi hui hai
tumhaare jaane ke baad bhi silwaTon ki surat
udas bistar pe KHush-gumani paDi hui hai
agarche ab us ke sare kirdar mar chuke hain
magar kitabon mein wo kahani paDi hui hai
zaifi hasrat bhari nigahon se dekhti hai
qaza ke ghere mein naujawani paDi hui hai
kahan se laun main pyase dariya ki chaarasazi
kahan ye ajdad ki nishani paDi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.