ye regzar jo tufan-o-zalzala bhi nahin
ye regzār jo tūfān-o-zalzala bhī nahīñ
hasīñ ḳhayāl kā paudā magar ugā bhī nahīñ
banā liyā hai makāñ chhāñv ke gulistāñ meñ
magar sisaktī javāñ dhuup se judā bhī nahīñ
rahā hamesha vo hāmil karam-navāzī kā
vafā ke shahr se āñkheñ milā sakā bhī nahīñ
har ek baat ne jis kī qubūliyat paa.ī
kisī se shahr-e-sitamgar meñ āshnā bhī nahīñ
ab is maqām pe Thahrā hai kārvān-e-hayāt
rah-e-sumūm meñ rāhat-fazā havā bhī nahīñ
baras rahā hai kahāñ se ye Tuut kar paanī
kahīñ falak ke nagar meñ ghanī ghaTā bhī nahīñ
maiñ chaltā jaatā huuñ 'betāb' vaqt kī sūrat
khileñge phuul nigāhoñ meñ kab patā bhī nahīñ
ye regzar jo tufan-o-zalzala bhi nahin
hasin KHayal ka pauda magar uga bhi nahin
bana liya hai makan chhanw ke gulistan mein
magar sisakti jawan dhup se juda bhi nahin
raha hamesha wo hamil karam-nawazi ka
wafa ke shahr se aankhen mila saka bhi nahin
har ek baat ne jis ki qubuliyat pai
kisi se shahr-e-sitamgar mein aashna bhi nahin
ab is maqam pe Thahra hai karwan-e-hayat
rah-e-sumum mein rahat-faza hawa bhi nahin
baras raha hai kahan se ye Tut kar pani
kahin falak ke nagar mein ghani ghaTa bhi nahin
main chalta jata hun 'betab' waqt ki surat
khilenge phul nigahon mein kab pata bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.