ye saniha bhi tha meri ruswaiyon ke sath
ye sāniha bhī thā merī rusvā.iyoñ ke saath
vo bhī khaḌe hue the tamāshā.iyoñ ke saath
insān huuñ farishta samajh kar na mujh se mil
mujh meñ burā.iyāñ bhī haiñ achchhā.iyoñ ke saath
tū merā dost hai to gurezāñ hai kis liye
mujh ko qubūl kar mirī rusvā.iyoñ ke saath
ab qāfile Thaharte nahīñ us kueñ ke paas
baabā mujhe na bhejo mire bhā.iyoñ ke saath
mujh tak pahuñch na pā.egā kah do use 'shakīl'
nāhaq ulajh rahā hai vo parchhā.iyoñ ke saath
ye saniha bhi tha meri ruswaiyon ke sath
wo bhi khaDe hue the tamashaiyon ke sath
insan hun farishta samajh kar na mujh se mil
mujh mein buraiyan bhi hain achchhaiyon ke sath
tu mera dost hai to gurezan hai kis liye
mujh ko qubul kar meri ruswaiyon ke sath
ab qafile Thaharte nahin us kuen ke pas
baba mujhe na bhejo mere bhaiyon ke sath
mujh tak pahunch na paega kah do use 'shakil'
nahaq ulajh raha hai wo parchhaiyon ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.