ye sath duniya ke chal rahi hai
ye saath duniyā ke chal rahī hai
ġhazal bhī lahja badal rahī hai
ye sinf-e-nāzuk hai rab kī ne'mat
jise ye duniyā masal rahī hai
hai zindagī barf hī ke jaisī
jo rafta rafta pighal rahī hai
to kyā siyāsat meñ jā rahe ho
zabāñ jo itnī phisal rahī hai
jalan bharī hai jo zehn meñ vo
ġhubār ban kar nikal rahī hai
hai jis hukūmat pe naaz tum ko
hamārī lauñDī vo kal rahī hai
ye sath duniya ke chal rahi hai
ghazal bhi lahja badal rahi hai
ye sinf-e-nazuk hai rab ki ne'mat
jise ye duniya masal rahi hai
hai zindagi barf hi ke jaisi
jo rafta rafta pighal rahi hai
to kya siyasat mein ja rahe ho
zaban jo itni phisal rahi hai
jalan bhari hai jo zehn mein wo
ghubar ban kar nikal rahi hai
hai jis hukumat pe naz tum ko
hamari launDi wo kal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.