ye sab kahne se hota kuchh nahin hai
ye sab kahne se hotā kuchh nahīñ hai
use lagtā thā duniyā kuchh nahīñ hai
mujhe lagtā hai duniyā hai mohabbat
abhī sochūñgā sochā kuchh nahīñ hai
mohabbat chaar din kī raushnī hai
mohabbat kā bharosa kuchh nahīñ hai
mire baare meñ sab se pūchh lenā
mire baare meñ achchhā kuchh nahīñ hai
sabhī kahte haiñ koī baat to hai
mujhe lagtā hai aisā kuchh nahīñ hai
gumāñ hastī kā hai to bad-gumāñ huuñ
ki dariyā sab hai qatra kuchh nahīñ hai
tumheñ honā thā āḳhir paas mere
lo mere paas honā kuchh nahīñ hai
zarā nāshād to haiñ māh-o-anjum
tabāhī hai par itnā kuchh nahīñ hai
ye sab kahne se hota kuchh nahin hai
use lagta tha duniya kuchh nahin hai
mujhe lagta hai duniya hai mohabbat
abhi sochunga socha kuchh nahin hai
mohabbat chaar din ki raushni hai
mohabbat ka bharosa kuchh nahin hai
mere bare mein sab se puchh lena
mere bare mein achchha kuchh nahin hai
sabhi kahte hain koi baat to hai
mujhe lagta hai aisa kuchh nahin hai
guman hasti ka hai to bad-guman hun
ki dariya sab hai qatra kuchh nahin hai
tumhein hona tha aaKHir pas mere
lo mere pas hona kuchh nahin hai
zara nashad to hain mah-o-anjum
tabahi hai par itna kuchh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.