ye sab shauq ki kar-farmaiyan hain
ye sab shauq ki kar-farmaiyan hain
Tameezuddin Tameez Dehlvi
MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi
ye sab shauq kī kār-farmā.iyāñ haiñ
jidhar dekhiye jalva-ārā.iyāñ haiñ
haqīqat to ye hai na maiñ huuñ na tum ho
ham an-dekhī vahdat kī parchhā.īyāñ haiñ
ḳhudā ke liye chashm-e-tar ab to bas kar
ki is taur duniyā kī rusvā.iyāñ haiñ
ye miinā ye qulqul ye sāġhar ye sahbā
ye kis ke liye mahfil-ārā.iyāñ haiñ
na peñgeñ na jhūle na panghaT na jhurmuT
na murlī kī tāneñ na shahnā.iyāñ haiñ
kasaktī haiñ kyoñ ab mohabbat kī choTeñ
na barkhā kī rut hai na purvā.iyāñ haiñ
adāoñ meñ mastī fazāoñ meñ ḳhushbū
javānī meñ sarshār rā'nā.iyāñ haiñ
junūñ ke ta.iiñ vo bhī pāyāb nikleñ
ḳhirad jin ko samjhī thī gahrā.iyāñ haiñ
maiñ us dar kī jānib baḌhā jā rahā huuñ
jahāñ muntazir merī tanhā.iyāñ haiñ
'tamīz' apnī sehat se āgāh rahiye
ki rū-ba-zavāl ab tavānā.iyāñ haiñ
ye sab shauq ki kar-farmaiyan hain
jidhar dekhiye jalwa-araiyan hain
haqiqat to ye hai na main hun na tum ho
hum an-dekhi wahdat ki parchhaiyan hain
KHuda ke liye chashm-e-tar ab to bas kar
ki is taur duniya ki ruswaiyan hain
ye mina ye qulqul ye saghar ye sahba
ye kis ke liye mahfil-araiyan hain
na pengen na jhule na panghaT na jhurmuT
na murli ki tanen na shahnaiyan hain
kasakti hain kyon ab mohabbat ki choTen
na barkha ki rut hai na purwaiyan hain
adaon mein masti fazaon mein KHushbu
jawani mein sarshaar ra'naiyan hain
junun ke tain wo bhi payab niklen
KHirad jin ko samjhi thi gahraiyan hain
main us dar ki jaanib baDha ja raha hun
jahan muntazir meri tanhaiyan hain
'tamiz' apni sehat se aagah rahiye
ki ru-ba-zawal ab tawanaiyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.