ye sab surud-e-KHwab hai ye nafa kya ziyan kya
ye sab surūd-e-ḳhvāb hai ye nafā kyā ziyān kyā
kamāl kyā zavāl kyā yaqīn kyā gumān kyā
ho farsh taptī ret kā yā maḳhmalī libās ho
ki sar-phiroñ ke vāste ye dasht kyā makān kyā
jo siina chīr-phāḌ kar na dil ko chīr-phāḌ de
vo husn kyā vo aañkh kyā vo tiir kyā kamān kyā
mirī duā hai yā-ḳhudā mirī ye aas toḌ de
jo dil kī tarjumāñ na ho to muñh meñ ye zabān kyā
huuñ us kī yaad meñ magan mujhe na falsafe sunā
savāb kyā azaab kyā namāz kyā azaan kyā
fasīl-e-zīst par khaḌā alam liye nasīb kā
maiñ ḳhud se pūchhtā rahā hai merī ān-bān kyā
kalīm merī baat kā javāb us se pūchhnā
jo maiñ tumhārā nuur huuñ to diid kā gumān kyā
kisī ke ḳhvāb toḌne se pahle itnā sochnā
ujaḌ gayā jo baaġh hī karegā bāġhbān kyā
ye sab surud-e-KHwab hai ye nafa kya ziyan kya
kamal kya zawal kya yaqin kya guman kya
ho farsh tapti ret ka ya maKHmali libas ho
ki sar-phiron ke waste ye dasht kya makan kya
jo sina chir-phaD kar na dil ko chir-phaD de
wo husn kya wo aankh kya wo tir kya kaman kya
meri dua hai ya-KHuda meri ye aas toD de
jo dil ki tarjuman na ho to munh mein ye zaban kya
hun us ki yaad mein magan mujhe na falsafe suna
sawab kya azab kya namaz kya azan kya
fasil-e-zist par khaDa alam liye nasib ka
main KHud se puchhta raha hai meri aan-ban kya
kalim meri baat ka jawab us se puchhna
jo main tumhaara nur hun to did ka guman kya
kisi ke KHwab toDne se pahle itna sochna
ujaD gaya jo bagh hi karega baghban kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.