ye sach hai charaghan tha ujala bhi bahut tha
ye sach hai charāġhāñ thā ujālā bhī bahut thā
bastī ko magar ḳhauf havā kā bhī bahut thā
jis ghar ke dar-o-bām pe dekhe ga.e sho.ale
kuchh roz se us ghar meñ añdherā bhī bahut thā
achchhā hai jo duniyā ne mujhe chhoḌ diyā hai
maiñ bhiiḌ ke hamrāh akelā bhī bahut thā
mausam ne jise kar diyā be-barg-o-barahna
suntā huuñ ki us peḌ meñ saayā bhī bahut thā
ab dhuup meñ sotā hai jo khole hue āñkheñ
guzrī huī rātoñ meñ vo jaagā bhī bahut thā
kyuuñ toḌ ke jaatā na vo ā.īna hamārā
ham ne use shīshe meñ utārā bhī bahut thā
haiñ ret meñ insān ke udhḌe hue nāḳhun
hairat kī nahīñ baat vo pyāsā bhī bahut thā
'kāzim' thī bahut qadr kabhī ahl-e-qalam kī
duniyā meñ kabhī naam hamārā bhī bahut thā
ye sach hai charaghan tha ujala bhi bahut tha
basti ko magar KHauf hawa ka bhi bahut tha
jis ghar ke dar-o-baam pe dekhe gae shoale
kuchh roz se us ghar mein andhera bhi bahut tha
achchha hai jo duniya ne mujhe chhoD diya hai
main bhiD ke hamrah akela bhi bahut tha
mausam ne jise kar diya be-barg-o-barahna
sunta hun ki us peD mein saya bhi bahut tha
ab dhup mein sota hai jo khole hue aankhen
guzri hui raaton mein wo jaga bhi bahut tha
kyun toD ke jata na wo aaina hamara
hum ne use shishe mein utara bhi bahut tha
hain ret mein insan ke udhDe hue naKHun
hairat ki nahin baat wo pyasa bhi bahut tha
'kazim' thi bahut qadr kabhi ahl-e-qalam ki
duniya mein kabhi nam hamara bhi bahut tha
- Book : کتاب سنگ (Pg. 23)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.