ye sach hai kabhi rah mein dariya nahin aaya
ye sach hai kabhi rah mein dariya nahin aaya
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
ye sach hai kabhī raah meñ dariyā nahīñ aaya
vo shaḳhs magar lauT ke pyāsā nahīñ aaya
is saal bhī is ghar meñ divālī nahīñ hogī
ghar lauT ke is saal bhī beTā nahīñ aaya
āñkheñ to har ik lamha chhalakne pe musir haiñ
ashkoñ ko magar poñchhne vaalā nahīñ aaya
ham vo haiñ jinheñ baiTh ke fursat meñ kisī din
hañsnā to baḌī baat hai ronā nahīñ aaya
aaheñ bhī palaT aatī haiñ nākām hamesha
is dil ko taḌapne kā salīqa nahīñ aaya
ashkoñ ko yahāñ poñchhne vaale to bahut haiñ
āñkhoñ ko salīqe se chhalaknā nahīñ aaya
ye sach hai kabhi rah mein dariya nahin aaya
wo shaKHs magar lauT ke pyasa nahin aaya
is sal bhi is ghar mein diwali nahin hogi
ghar lauT ke is sal bhi beTa nahin aaya
aankhen to har ek lamha chhalakne pe musir hain
ashkon ko magar ponchhne wala nahin aaya
hum wo hain jinhen baiTh ke fursat mein kisi din
hansna to baDi baat hai rona nahin aaya
aahen bhi palaT aati hain nakaam hamesha
is dil ko taDapne ka saliqa nahin aaya
ashkon ko yahan ponchhne wale to bahut hain
aankhon ko saliqe se chhalakna nahin aaya
- Book : سائبان غزل (Pg. 43)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.