ye sadi ranj-o-masaib ki sadi lagti hai
ye sadī ranj-o-masā.ib kī sadī lagtī hai
zindagī bhī mujhe zaḳhmoñ kī galī lagtī hai
jhuuT sunñe kā har ik shaḳhs huā hai 'aadī
ho jo mīThī bhī to sachchā.ī burī lagtī hai
ye zarūrī nahīñ insān ko mil hī jaa.e
aisī har chiiz jo āñkhoñ ko bhalī lagtī hai
ḳhat meñ tahrīr mujhe milte haiñ us ke aañsū
lafz chhūtā huuñ to āñkhoñ meñ namī lagtī hai
mere purkhoñ kī bhī miTTī hai isī miTTī meñ
is liye ḳhāk-e-vatan mujh ko bhalī lagtī hai
ġhusl karte hue mahbūb sā lagtā hai ye chāñd
chāñdnī raat sitāroñ kī nadī lagtī hai
ham ne dekhe haiñ fasādoñ meñ vo manzar bhī 'anīs'
apne hī ḳhuun meñ har chiiz sanī lagtī hai
ye sadi ranj-o-masaib ki sadi lagti hai
zindagi bhi mujhe zaKHmon ki gali lagti hai
jhuT sunne ka har ek shaKHs hua hai 'adi
ho jo miThi bhi to sachchai buri lagti hai
ye zaruri nahin insan ko mil hi jae
aisi har chiz jo aankhon ko bhali lagti hai
KHat mein tahrir mujhe milte hain us ke aansu
lafz chhuta hun to aankhon mein nami lagti hai
mere purkhon ki bhi miTTi hai isi miTTi mein
is liye KHak-e-watan mujh ko bhali lagti hai
ghusl karte hue mahbub sa lagta hai ye chand
chandni raat sitaron ki nadi lagti hai
hum ne dekhe hain fasadon mein wo manzar bhi 'anis'
apne hi KHun mein har chiz sani lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.