ye sadma usko pagal kar gaya tha
ye sadma us ko pāgal kar gayā thā
vo apne aa.ine se Dar gayā thā
koī bhī sar nahīñ thā us ke qābil
abas us shahr meñ patthar gayā thā
jahālat ke havāle paḌhte paḌhte
kitāboñ se mirā jī bhar gayā thā
pilātā kaun us pyāse ko paanī
koī masjid koī mandar gayā thā
vo kis miTTī kā thā nafrat ke ghar meñ
vo oḌhe pyaar kī chādar gayā thā
mirā ehsās to tere karam se
mire marne se pahle mar gayā thā
na niklā phir vo saarī umr ghar se
zarā sī der ko bāhar gayā thā
to phir luuTā hai kis ne qāfile ko
udhar to sirf ik rahbar gayā thā
vahāñ phir pair kab rakkhā kisī ne
jahāñ raste meñ merā sar gayā thā
ye sadma us ko pagal kar gaya tha
wo apne aaine se Dar gaya tha
koi bhi sar nahin tha us ke qabil
abas us shahr mein patthar gaya tha
jahaalat ke hawale paDhte paDhte
kitabon se mera ji bhar gaya tha
pilata kaun us pyase ko pani
koi masjid koi mandar gaya tha
wo kis miTTi ka tha nafrat ke ghar mein
wo oDhe pyar ki chadar gaya tha
mera ehsas to tere karam se
mere marne se pahle mar gaya tha
na nikla phir wo sari umr ghar se
zara si der ko bahar gaya tha
to phir luTa hai kis ne qafile ko
udhar to sirf ek rahbar gaya tha
wahan phir pair kab rakkha kisi ne
jahan raste mein mera sar gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.