ye sahl hi sahi sikke uchhaal kar rakhna
Interesting Fact
1999
ye sahl hī sahī sikke uchhāl kar rakhnā
magar ye dil hai use bhī sañbhāl kar rakhnā
nazar se laakh hoñ ojhal surāġh manzil ke
junūñ kā kaam hai sahrā khañgāl kar rakhnā
hai inqalāb ke sho'loñ kī garmiyāñ is meñ
matā-e-lauh-o-qalam ko sañbhāl kar rakhnā
nayā ḳhayāl na.ī raushnī na.ī rāheñ
safar nayā hai qadam dekh-bhāl kar rakhnā
janāb-e-'nūr' ġhazal kā yahī taqāza hai
na.e ḳhayāl ko qālib meñ Dhaal kar rakhnā
ye sahl hi sahi sikke uchhaal kar rakhna
magar ye dil hai use bhi sanbhaal kar rakhna
nazar se lakh hon ojhal suragh manzil ke
junun ka kaam hai sahra khangal kar rakhna
hai inqalab ke sho'lon ki garmiyan is mein
mata-e-lauh-o-qalam ko sanbhaal kar rakhna
naya KHayal nai raushni nai rahen
safar naya hai qadam dekh-bhaal kar rakhna
janab-e-'nur' ghazal ka yahi taqaza hai
nae KHayal ko qalib mein Dhaal kar rakhna
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 44)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.