ye samjhaya hai is dil ne KHuda hi par yaqin rakkho
ye samjhāyā hai is dil ne ḳhudā hī par yaqīñ rakkho
tumhārā jo bhī sarmāya ho sāhab vo tumhīñ rakkho
hamārī bādshāhī ke sune hoñge ka.ī qisse
ki ham har chiiz de deñge magar kaasa vahīñ rakkho
laboñ ko kar diyā hai naam us ne in raqīboñ ke
hameñ ye kah diyā aap lo merī jabīñ rakho
ḳhudā jaane bahāna thā dilāsa thā ki va.ada thā
mujhe ik baar phir zulmat ne samjhāyā yaqīñ rakkho
banā.e yaar haiñ tum ne baḌī ta.adād meñ 'hamza'
mirā ik mashvara hai ab silā kar āstīñ rakkho
ye samjhaya hai is dil ne KHuda hi par yaqin rakkho
tumhaara jo bhi sarmaya ho sahab wo tumhin rakkho
hamari baadshahi ke sune honge kai qisse
ki hum har chiz de denge magar kasa wahin rakkho
labon ko kar diya hai nam us ne in raqibon ke
hamein ye kah diya aap lo meri jabin rakho
KHuda jaane bahana tha dilasa tha ki wada tha
mujhe ek bar phir zulmat ne samjhaya yaqin rakkho
banae yar hain tum ne baDi tadad mein 'hamza'
mera ek mashwara hai ab sila kar aastin rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.