ye sannaTa to dam toDe har ek aawaz aane do
ye sannāTā to dam toḌe har ik āvāz aane do
na kuchh aa.e to āvāz-e-shikast-e-sāz aane do
sadā-e-naġhma-e-gul hai ba-sad-andāz aane do
fazā-e-ḳhema-e-jāñ meñ chaman kā raaz aane do
ye taa.ir ūñghte rahte haiñ baiThe sabz gumbad par
agar chug leñ kahīñ se himmat-e-parvāz aane do
vo dar jo band thā sadiyoñ se habs-e-dam ke māroñ par
vahī dar haañ vahī dar ab huā hai baaz aane do
sharārat hī sahī chheḌīñ to us ne ambarīñ zulfeñ
mashām-e-shauq se milne havā-e-nāz aane do
ye sannaTa to dam toDe har ek aawaz aane do
na kuchh aae to aawaz-e-shikast-e-saz aane do
sada-e-naghma-e-gul hai ba-sad-andaz aane do
faza-e-KHema-e-jaan mein chaman ka raaz aane do
ye tair unghte rahte hain baiThe sabz gumbad par
agar chug len kahin se himmat-e-parwaz aane do
wo dar jo band tha sadiyon se habs-e-dam ke maron par
wahi dar han wahi dar ab hua hai baz aane do
shararat hi sahi chheDin to us ne ambarin zulfen
masham-e-shauq se milne hawa-e-naz aane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.