ye sarabon ki shararat bhi na ho to kya ho
ye sarāboñ kī sharārat bhī na ho to kyā ho
aañkh meñ hairat o vahshat bhī na ho to kyā ho
ham ki us hijr ke sahrā meñ paḌe haiñ kab se
ḳhema-e-ḳhvāb-e-rafāqat bhī na ho to kyā ho
shukr kar hujra-e-tanhā.ī meñ baiThe hue shaḳhs
ḳhud se milne kī ye mohlat bhī na ho to kyā ho
maiñ vo mahrūm-e-zamāna ki kabhī sochtā huuñ
saañs lene kī suhulat bhī na ho to kyā ho
sochtā huuñ maiñ sar-e-dasht uḌātā huā dhuul
terī yādoñ kī ināyat bhī na ho to kyā ho
ye sarabon ki shararat bhi na ho to kya ho
aankh mein hairat o wahshat bhi na ho to kya ho
hum ki us hijr ke sahra mein paDe hain kab se
KHema-e-KHwab-e-rafaqat bhi na ho to kya ho
shukr kar hujra-e-tanhai mein baiThe hue shaKHs
KHud se milne ki ye mohlat bhi na ho to kya ho
main wo mahrum-e-zamana ki kabhi sochta hun
sans lene ki suhulat bhi na ho to kya ho
sochta hun main sar-e-dasht uData hua dhul
teri yaadon ki inayat bhi na ho to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.